Lage hain chup karane me, yahan is inkalabi ko,
Yeh shor hukmraano ka, sunai nahi deta,
jute hai rehnumai me, kuch firka-paraston ki,
dard mazloom janta ka, sunai nahi deta.
Chale hai balti lekar, bujhane aag gulshan ki,
ghar me uthata hua dhuan, dikhai nahi deta,
koi kehta hara hai yeh, koi kehta hai kaisariya,
lahoo ka rang laal ab to kahin, dikhai nahi deta.
-Akash
Politics
under:
Poetry
wah wah...kya kahne....subhaan allah....
bahut umda :)
Inkalaab-jindabaad!!!... bahut khoob :)
badhiya hai......
dhaardaar kavita.....:-)