Mein andhero me ujale dhoondhta hoon,
dhundh me dilkash nazare dhoondhta hoon,
bin teri marzi ke kuch mumkin nahi hai,
har kadam,tere ishaare dhoondhta hoon.
In lakeeron me wo kismat dhoondhte hain,
main jehan* me wo khajaane dhoondhta hoon,
Apni marzi se likhoon apni lakeerein,
isliye ab kuch sharaare** dhoondhta hoon.
-Akash
References:
*jehan = dimaag, brain
**sharaare = chingaariyan, spark
Dhoondhta hoon...
under:
Poetry
Ati sundar!!!... it took me two days to believe that its your own art :)
Beware DwivediJi, tumhara competitor paida ho gaya aur bahut tezi se pragati bhi kar raha hai... ye rachna to sachmuch krantikari thi... bahut achchhe! :)
mazaa aa gaya padh ke!