Basa le apni aakhon me, chaman ke saare phoolon ko,
mumkin hai kal yahin par, koi imarat khadi mile.

Agli chutti me bachchon ko, parvat par le jaana,
mumkin hai kal, Himalaya ki jagah Aravali mile.

Vida hai aaj beti ki, jee bhar kar nihaar le,
mumkin hai kal aspatal* me, beti jali mile.

aaj gangajal hain, tu taharat* abhi kar le,
mumkin hai kal yahi par tujhe, sookha pada mile.

-Akash

*taharat: purification
*aspatal: Hospital